Friday, January 06, 2012

Duniya mein hun duniya ka talabgaar nahi hu

Duniya mein hun duniya ka talabgaar nahin hun
Bazar se guzara hun kharidar nahin hun

Zinda hun magar zist ki lazzat nahin baqi
har chand ki hun hosh mein hoshiyar nahin hun

Iss Khaanaa-e-hasti se guzar jaunga belaus
Saaya hun faqat naqsh-e-diivaar nahin hun

Afasurda hun ibaarat se davaa ki nahin hajat
Gum kaa mujhe ye zauf hai bimaar nahin hun

Wo gull hun khizan ne jise barbaad kiya hai
Uljhun kisi daman se main vo khaar nahin hun


(This poem is in urdu. Poet is Akbar Allahabadi)
Translation of urdu words:
talabgaar - some one who desires
zist - life/existance
lazzat - flavor
Khaanaa - room/house/compartment
hasti - existance
belaus - without any trace
faqat - beauty/elegance
Afasurda - melancholy/depressed
ibaarat - metaphorical meaning/ style
hajat - desire
gull - flower
khaar - thorn
more urdu words?

1 comment:

Sauc said...

A loose English translation:
Though Im in the world, I do not seek the world
Though I have passed through the bazaar, Im not a buyer.

Though Im alive, I dont have any flavor left for life
Though Im concious, Im not in my senses.

I will pass through this station of life unattached.
Im just a shadow, Im not an imprint on the wall.

Im the flower which has been ravaged by the autumn
Im not the thorn that catches on to peoples clothing.

courtesy: http://www.youtube.com/watch?v=FKIN8XCW6yA